Pen drive se computer ka virus kaise hataye

7/14/2017 06:24:00 am 0 Comments

Hello Dosto, Aaj hum aapko  technical trick ke is article me batane wale hai ki pen drive se apne computer ko kaise scan kare without antivirus ke. Jaisa aap sabhi log jante hoge ki pen drive me virus hone ki wajg se hamara computer kharab ho sakta hai ya phir dono hi kharab ho sakte hai. Computer ko virus se bachane ke liye hum antivirus ka use karna bahut hi jaruri hota hai. Aur jab hum kabhi pen drive se computer me data transfer karte hai to kai baar hamare computer me virus chala jata hai. Aur jiske karan hamare computer ke problem ho sakti hai. Isliye aaj hum aap ko batane wale hai ki computer ko pen drive se Scan kare.

Pen Drive Se Apne Computer Ka Virus Kaise Remove Kare Without antivirus

So dosto pen drive se computer virus nikalne ke liye aapko apne computer me USB  pen drive ko scan karna hoga. To chaliye aap hamare steps ko follow kare.Step 1: Sabse pahle aap apne Keyword se window+R Button ek sath  press kare.
Pen Drive se Apne Computer ka virus  Kaise Remove Kare Without Antivirus Ke

Step 2:  Ab aapke samne Run command ka box open hoga. Isme CMD  type kare our enter press kare.Step 3: Ab Aapke samne ek window open hoga.

Step 4: Ab aapke samne command promot window open hogi jisme aapko niche likha code type karna hai.
code window

 attrib –D –r –s/s/dh:\*.*

Note: D ki jagah par aapko apni drive ka name dalna hai jise aap scan karna chahte hai.

Step 4: Ab last me aapko Enter ki button press karna hai.

Ab aapko kuch time wait karna hai. Ab aapka drive scan hona start ho chuka hai.


To dosto is tips ke through aap bina antivirus ke computer ke kisi bhi drive ko scan kar sakte hai.To dosto aapko hamara yah article kaisa laga commants ke through jarur bataye. Aur Agar aapko hamara yah article pasand aaya ho to  ise social media par jarur share kare .

What Is Server? And it's types in hindi

7/14/2017 06:13:00 am 0 Comments

What is the server and how complete information works in Hindi
Server kya hai ? server ke bare me aap sabhi ne kahi na kahi  jarur suna hoga. Agar nahi suna to aaj hum is article ke through aapko batane wale hai ki server kya hai. Aur iske kitne types hai aur server kaam kaise karta hai. Aapko puri jankari hindi me batane wale hai. Isse pahle aapko ek important baat batane wale hai ki aap yah article pura read kare agar aap isko pura nahi padhege to aapko kuch bhi samgh me nahi ayega aur aap server se bare me nahi jaan payege. Isliye aap is article ko bade dhayan se padhe.

What is Server

Server ek computer ho sakta hai ya ek hardware device ya phir computer program jise computer me load kiya jata hai. Taki who dusre computers ko data aur information bhej sake. Server ka kaam hai ki users ko sewa dena yani ki users ko who  sabhi jankari dena jo who janna chahta hai. For example jaise hum youtube me video dhekte hai ya phir koi information hum apne device ke web browser me jakar search karte hai. To hame jo bhi result apne device par dkekh ne ko milta hai. Woh website ya channel ka data kahi na kahi par store ho kar rahta hai. Jo server hamare request bhejne par hume us information ko provide karata hai.
Google world ka sabse bada search engine hai. Jaha se aap jitney chahe utne information(data) hasil kar sakte hai.to google hume ye sabhi information (data) alag alag websites ke server se lakar provides karata hai.
Server ek computer ki tarah hota hai aur duniya me bahut saare alag alag types ke server  hai jo ki bahut powerfull  hai.  Ek normal laptop ya computer me agar hum server ka program install kar de to woh computer bhi ek server ki tarah work karega. Aise server ko hum non- dedicated servers bhi kah sakte hai. Kyoki ye 24 hours chalu rahkar kaam karne ke liye nahi hote. Non- dedicated servers ka use home, school, colleges, hospitals, offices, etc jagaho par kiya jata hai. Jise hum local network bhi kahte hai.
Lekin kuch computer aise  bhi hote hai jo 24*7  chalu rahte hai aur dusre computers ko serve karte hai. Eise computers ko hum dedicated server bhi kahte hai. Ye computers bhahut hi mahge hote hai.aur inme high quality aur high speed ka processor aur RAM lage  hote hai. Aur  Internet ke through hum google par jo bhi search karte hai woh hume dedicated servers se hi milte hai.

Server Kaise Kaam Karta Hai.

For example hum aapko batate hai ki maan ligiye ki aapko youtube par ek video dhekna hai to aap apne youtube ke search me us video ka name likha aur search kiya to ye ek request  ke rup me convert ho jata hai. Aur ye request internet ke through youtube ke server me chala jata hai. Aur server aapke through request kiye gaye video ko dhud kar uska data aapke device par bhej deta hai. Jiske karan aap us video ko dhek pate hai. Internet par hum jitney bhi work karte hai jaise koi file download karte hai. Browsing karte hai. Mail bhejte hai . Social media sites ka use karte hai. Iske alawa jitney bhi kaam karte hai. Un sabhi chijo me server hamari helps karta hai aur hum tak data pahuchata hai. So aap logo ko samgh me a gaya hoga ko server kya hai aur yah kaise kaam karta hai. Ab baat karte hai ki server ke kitne types hai.

Types of Server

Server alag-alag type ke hote hai. Aur lag-alag service pradan karte hai.
·       Web Servers:  web server me internet par maujud  har ek websites hai. Unke data store ho kar rahte hai. Aur ye server web browser se connect rahte hai. To jab koi      bhi user web browser se kisi website ko dhekne ke liye request karta hai tab ye browser web server se connect kar website ka data user ke device par bhej dete hai.
·       Email Server: Email server message bhej ne aur receive karne me help karta hai. Aur user ki saari information ko server par store karke rakhta hai. For example: jaise aapne apne kisi friends ko mail likh ne ke baad aap send button par click karte hai uske baad woh message ko mail server SMTP protocol ka use kar aapke  dost ke account me bhej dete hai.
·       File Server: File server network  ke through file transfer karne me help karta hai. File server ek computer  me sabhi file ko store aur manage karta hai.  Aur users ke request karne par uske computer me file ki copy ko bhej deta hai. File server ka use local network par hota hai.
Aur dear har organisations, institutions, company,banks, social networking sites jaise facebook, WhatsApp etc. ka sabhika apna apna server hota hai. Jaha par in sabhi ke users ka information(data) store hota rahta hai.

Aapko server kya hai aur kaise kaam karta hai. Samgh me a gaya hoga. Agar aapko is article se related koi sawal hai. To hai to aap hume  comment ke through jarur bataye. Hume kushi hogi.

Langauge Translator kya hai? What is Langauge Translator

7/09/2017 11:35:00 pm 0 Comments


Hello dosto indiantechnicalsupport site ke is artical me hum baat karege ki langauge Translator kya hota hai aur iska use programmer kyo karte hai.
 translater

1. Assembler: EK assembler assembly langauge me likhe computer program ko machine langauge me convert kar deta hai. Tak computer woh saare kaam kar sake jis ke liye program likha gaya hai. Eisa karna isliye jaruri hai. Kyoki computer ko machine langauge ke alawa aur koi bhi langauge samgh me nahi aati. Isliye computer ko diye gaye order machine langauge me hona chahiye. Jab hum computer par work karte hai tab yah work Operating systems ke through kiya jata hai.


2.Compiler: compiler ka main work yah hota hai ki high level langauge me likhe program ko machine langauge me convert karna hai. Aur high level langauge me likhe hui code source code kahlate hai.iske likhe program statement ko compiler ke through machine langauge ke rup me badla jata hai.

Har ek high level langauge ke liye ek compiler ki jarurat padti hai.Isliye iska use kiya jata hai.


3. Interpreter: Interpreter sourcecode ke ek statement ko machine langauge me convert karke execute karte hai. Interpreter bhi compiler ki tarah hota hai. ek compiler aur interpreter same hote hai. but difference sirf itna hota hai ki compiler objectcode ke liye ek file create karta hai. Jabki interpreter nahi. interpreter ka use karte time hamesha sourcecode ki jarurat padti ha. 
programmer ko in ki important program banate time software create karte time in ki jarurat padte hai.

Ab hum jaan khuke hai ki lngauge translator kya hai aur inki jarurat kyo padti ha. Agar aapko is artical se related koi bhi question hai to hume comments ke through jarur bataye. Aur agar aapko hamara yah artical pasand aya ho to isse share jarur kare.

How to create Facebook account ? Puri Jankari Hindi Me

Hello dosto aaj hum aapko is artical ke through ek important information dene wale hai. Jo ki aaj ke time me sabse jayada use hone wali hai. ki facebook me apna account kaise banaye aur hum aapko is artical me batane wale hai. To aap hamare is artical ko dhayan se read kare. Kyoki jiska facebook account nahi hai woh old  jamane me ji raha hai. to chaliye jante hai ki Facebook me account kaise banaye.
Facebook Me Account Kaise Banaye ? Puri Jankari Hindi Me

Facebook Kya Hai

Facebook world ki sabse jayada use hone wali social networking website hai. Aur iske through apne online friends se sms, video chatting etc. kar sakte hai. Ye bilkul free hai. to chaliye jante hai ki fb par account kaise banaye.


Facebook Par Account Kaise Banaye

Step 1: Sabse pahle aap www.facebook.com par visit kare.
facebook home page

Step 2: Ab aap jaise hi fb home par jaye ge to jo registration form hai use bhare.
  • Apna naam.
  • Email id ya Mobile number.
  • Male/female 
  • Date Of Brith
  • Saari detail fill karne ke baad create an account par click kare.
Step 3: Ab apni gmail id khole us par facebook se ek email aya hoga jisme aapki id ko verify karne ke liye conformation link par click karte hi aap ka facebook account ban kar tayaar ho jayega.

To is tarike she aap apna Facebook account baba Sakte hai. Is arrival kr through him apko yah bata rahe they ki Facebook par account kaise banaye ye artical apko Kaisa laga comment ke through Hume jarur bataye . Aur is artical ki social media par share jarur kare.

Top URL Shortener Website Se Online Paise Kaise Kamaye?

Hello dosto Make Money ke is artical me hum Aapko bataye ki 5 URL Shortener website ke through aap online paisa kama sakte hai. Aur ye post aapke liye kafi had tak useful ho sakti hai. kyo ki aap URL shortener website se acha paisa kama paoge Url shortening website se internet  par paisa kamane ke liye sabse important baat ye hai ki aapko kisi skills ki jarurat nahi hai.


Top URL Shortener Website Se Online Paise Kaise Kamaye?

Online paise kamane aur without investment paise kamane ke sabse asaan tarika hai URL shortener website. Aur is website ko aap apne mobile ke through operate karke bhi paisa kama sakte hai. Aur is artical me aapko top highest URL shortener website ke baare me bataye ge jaha par aap account create karke online paisa kama sakte hai.


URL Shortener Kya Hai?

Website ke lambe URL ko yani post link ko short me convert karne ke liye   jis tools ka use kiya jata hai use Url shortener kahte hai. Aur URL shortener karne ke liye online bahut saari website available hai jaha se aap link short kar sakte hai ye website  kisi bhi site ke lambe  url ko chota kar deti hai. aur in sites ki khas baat ye hai ki aap in website se paisa bhi earn kar sakte hai.

URL Shortener Website Se Paise Kaise Kamaye?

Url shortener  sites se paise kamane ke liye sabse pahle aapko website par registration karna hoga uske baad aapko koi bhi url ko site se short karke us url ko Facebook, Twitter, Google++ social site par promote karte hai to us link par jitne bhi click hoge uska paisa aapko shortener site pay karegi. Simple  si baat  hai aapko url promote karne ka paisa  milega jo aapke liye benefits ho sakta hai. Short link se paise kamane ke 2 tarike hai ek hai Linke share karke aur dusra hai Referal program se. to chaliye jante hai ye 2 tarike kyon kyon se hai.

  • Link Share Karke Paisa Kaise ?
Sabse pahle URL shortener website par signup karna hoga fir kisi bhi website ka url copy karke usko url short website se chota kar le iske baade us link ko aap social networking sites like facebook, google++, twitter etc par share kariye  jab koi us link par click karega to usko 5 seconds ke liye ads dikhayi dega aur uske baad skip ads par click karke aap us site pe visit ho jaoge isi tarah se 1000 skip hone par aap $1- $10 tak money earn kar sakte hai.
  • Referal Program Se Paise Kaise Kamaye ?
Agar aap URL shortener website ke referal program se paisa kamana chahte hai to aap  site ke raferal program me join karke 20% Tak ka commision pa sakte hai. aur iske liye aapko apne referal link se apne friends ko join karana padega.

Note: aap kitne bhi url short kar sakte hai In sab ke count ko mila kar 1000 view hote hai to aapko paise milege

Top Highest Paying URL Shortener Website Se Paise Kamaye
Internet par aapko bahut saari url shortener website mil gayegi  Lekin hum aapko is artical ke through top highest paying website ke baare me bata rahe hai. Iske sath hi in site ki alexa ranking aur payment process kaisa hai ye bhi aaj aapko bataye ge.

1. Shorte.st: Agar aap short. st site par registration karte hai aur yaha se kisi url ko short karke internet par share karte hai. Tab aapke is short link par koi click karke site par visit karta hai to  aapko 1000 views ke 5-12$ paisa degi  is site ki khas baat ye hai ki aapko 10 din me automatically payment kar deti hai agar aapka blog wordpress par hai to aap is site ka tools pluginme laga sakte hai.
Payment Method: paypal or payneer se payment degi
Minimum Payout: 5$ paypal account se aur 20$ payneer account se payment deti hai.
Referal Earnings Rate: 20% Commision deti hai par referal par lifitime ke liye deti hai.
Alexa Rank (Global): 9,500

2. Bc.Vc: Earn money by sharing link. Agar aap is site par registration karte hai aur yaha se kisi url ko short karke internet par share karte hai. Tab aapke is short link par koi click karke site par visit karta hai to aapko Bc.Vc aapko 1000 view par 4$ deti hai Referal program se aap 10% Commission milta hai woh bhi lifetime ke liye.
Minimum Payout: 10$ degi Paypal or IBNN account Par.
Alexa Rank: 2,900.

3. Adf.ly: Most popular URL Shortener Site. Ad.fly website bahut hi popular website hai. Is website par registration karke aap URL short karte hai aur usko share karte hai to aapko 1000 view ke 4$ Degi.
Minimum Payout: 5$ payapal, payza au alertpay se degi.
Referal Earning Rate: 20% Earnings For lifetime
Alexa Ranking: 265.


4. Linkshrink.net: Linkshrink ye bhi ek bahut hi popular website hai jo bahut hi achi website hai is website ki khas baat ye hai ki hum iska referal program se acha paisa kama sakte hai. ye web site link shareing ke 1000 view par hume ye website 2$ se 5$ paise milege.
Payout Option: Paypal or payza.
Alexa Rank: 5,100.

5. Linkbucks.com: Is website ka alexa rank 1,038 hai or ye sabse badi competitor hai Adf.ly ki linkbuck apne user ko offer deti hai ko aap apne blog par multiple URL use karne se aap kam se kam 10$ payment le sakte hai.
Referal Earning Rate: 20% Commission for life time.
Payment Option: paypal or payza.
Alexa Ranking: 1,038.

To dosto ab aap jaan chuke hoge ki  top  URL Shortener website kya hai aur hum in site par registration karke bina investment ke yaha se link short kar ke internet par share karke paisa kama sakte hai. Agar aapko yah jankari achi lage to apne dosto ko jarur sahre kare.

Formatting Tag Kya hai? Aur iska use kaise kare

7/04/2017 02:24:00 am , 0 Comments

Aap apna webpage banane ke time images ke sath kai tarah ke text ko bhi page me likhe ne ki jarurat hoti hai. Page me write kiye Jaane wale text ko aap apne according format kar sakte hai. Text, sentence, aur paragraph ko format karne ke liye aapko niche  example diye ja rahe hai jiske through aap apne webpage ko bahut Acha bana sakte hai.
<P>(Paragraph Tag)- Is element ka use karke aap page me paragraph likh sakte hai jo ki  aap ke through use kiye ja rahe browser ki setting ke according wavsthit hoti hai. 

Example: <P> .. apna Paragraph likhe... </P>
<Font> (Font Tag)- Is element ka use karke aap Likhe hue Data ke  font ka color, Size ko change kar  sakte  hai . Ek example ke through Welcome ko nimn setting ke according dikha sakte hai.

     
Font - Arial 
Size - 20
Color - Green

Example 

<Font face ="arial" Size = 20 color ="Green">
WelCome
</Font>
Is example ke through aap samgh gaye hoge ki Face, Size, aur color ye sab Font tag ke option hai. Jinhe Font tag ke sath upar dikhaye steps ke sath use kiya ja sakta hai. Example. <Font Color ="Red"> Matter</Font>
<B> Isse bold tag kaha jata hai. Iska use karke aap apne text ko Bold bana sakte hai.

So friends in formating tags ka use karke aap apne page me title heading aur page ka color apply kar sakte hai.
hum ummide karte hai ki aapko ye artical pasand kaya hoga. So plz is artical ko social media me share jarur kare.

Share Market Se Paisa Kaise Kamaye? Puri Jankari Hindi Me

Share market kya hai aur iske through paise kaise kamaye ? Har koi chahta hai ki apna paisa sahi jagah invest ho. Isliye har koi chahta hai ki lakho rupay kamane ke liye paisa kaha invest kare. agar aap bhi apna paisa invest karne ke liye koi platform ki talash kar rahe hai to aapko share market ke baare me jarur jan lena chahiye. kyo ki share market se aap lakho rupay kama sakte hai. Lekin iske liye aapko share market ki puri jankari honi chahiye. iske baare me aapko jitni knowlage hogi aap utna jayada paisa share market se earn kar  sakte hai. To chaliye jante hai ki share market kya hai aur isse  paisa kaise kamaye.




What is Share Market !

Sabse pahle hum aapko bataye ge ki share  kya hai. Kyo ki share market ke baare me janne se pahle aap ko pata hona chahiye ki Share kya hota hai. Share woh Part ya hissa hai jo company ke owners ya maaliko ke through jari kiye gaye documents hote hai. Aap jis company ke jitne share karidoge aap utne precent us company ke malik ban jaoge. Share ko share market(share bajar) se karida ja sakte hai.

What is share market? School ki book ki definition ke according  bataye to ek aisa market jaha se share ko karida aur bhecha jata hai us market ko share market ya share bazaar kaha jata hai. Ise stock  exchange ka key factor bhi kaha jata hai. For example apne kisi company ke 30% share buy kar liye yo aap 30% uske malik ban gaye. or company me hone wale faislo me aap 30% voting kar sakte ho.
Share buy karne ke liye aapko Demate Trading account A/C open karwana hoga jisko aap kisi bhi bank, company ya dalal (Broker) ke pass khulva sakte hai. Wese aaj kal sab kaam internet ke through ho rahe hai. isliye aap online bhi account khulva sakte hai.

Share Bazar Ka Work Kab Hota Hai:

Share bazar ka kaam week me 5 days (Saturday to Friday) tak hota hai. Aur india stock market ka kaam subah 09:15 AM to 13:30 PM Tak hota hai. Indai me only two stock exchange hai.

Indai Me Two Stock Exchange Kyon Se Hai?
  • NSE- National Stock Exchange
  • BSE- Bombay Stock Exchange
Aur share buy karne ke ye tarike  sabse aasan hai. Aur in 3 tariko se aap share purchase kar sakte hai..
  1.  Self buy kar sakte ho.
  2.  Apne Broken ke through kharid sakte ho.
  3. Indian Public Offering(IPO) ke through purchase kar sakte ho.
In tariko se aap share bazar se share karid sakte hai. Ab baat karte hai share karid ne ki kyoki jab tak hum sahre nahi karide ge jab tak hum paisa nahi kama sakte hai.

Share Market Se Paise Kaise Kamaye
Online ya broker ke through share market se share kharide. share kharidne ka tarika: Share market me paisa invest karne se pahle ye zaruri baat jaan le. isme aapki coomerce acchi honi chahiye.
Ye decide karna koi muskil kaam nahi hai ki share market me paise invest karne ka sahi time kya hai kyoki ye sab aapki samagh ke upar depend karta hai. Share buy karne se pahle aapko iski full knowlage honi chahiye. Without information ke aap kamane ki jagah nukshan kar loge.
Share market ek aisa bazar hai. jaha shares me hamesha utar chadaw laga rahta hai. to aap jab bhi share buy kare . Jab share ki keemat kam ho or share tab tak bache jab share ki keemat jyada ho. Iske liye aapko share ki Low and High rate ke bare me jankari honi chahiye. 

Note: सस्ते शेयर खरीदना और महंगा होने पर बेच देना. यही शेयर मार्किट का मैं सूत्र है.

Ye bahut choti se baat hai. But isko samjhne ke liye bahut time chahiye hota hai. Agar aap sahi time par decision nahi lete hai. to ye aapko bhari pad sakta hai or jaha aap share bazar se lakho kamane ki soch rahe honge waha aapko lakho rupees ka ghata bhi lag sakta hai.

Share Market Se Kitna Paisa Kama Sakte Hai
Share marketting se aap lahko rupees kama bhi sakte ho aur gawa bhi sakte ho. Jaise aapko kissi company ke 10,000 share buy kar liye or uska price 10 rupees tha to aapko total 1,00,000 pay karne honge. Ab agar uski keemat 1 rupees per share badh jati hai to aapko 10,000 ka fayda hoga or agar par 1 rupees minus ho jati hai to aapko 10,000 ka nuksan hoga.

Note:सुबह खरीदे गए शेयर को शाम तक बेचना होता है या फिर उसका पेमेंट करना होता है. ये शेयर बाजार का रूल है.

Share Market Se Paise Kamane Ke Liye Kin Kin Bato Ka Dhayan Rakhe:

Ab aapko ache se pata chal gaya hoga ki share market kya hai aur isse paisa kaise kama sakte hai. So ab mai aapko kuch aisi bate bta du jinko share marketting ke waqt dhyan rakhna chahiye. Is kaam me income bhi bahut hai to risk bhi bahut hai. Paisa soch samjh kar invest kare. So niche aapko tips diye ja rahe hai jinko follow karke aap share market se paisa kama sakte hai.

  1.  Agar aap  Chahte hai ki  aapko stock marketting se nuksan na ho or aap jayada se jayada kamai kar sako to pahle aap companies ke results and balance sheets padha or samghna shuru kare. Market ke bare me puri jankari rakhe or daily economic times etc. share market se related news padhe or tv news bhi dekhe.
  2. Jab aapko share market ki puri jankari ho jaye  or aapko lage ki aap real me isme achhi kamai kar sakte hai. tabhi ye kaam start kare.
  3. First time me sirf 3-4 company select kare or kam se kam invest kare fir jaise jaise aapko iska anubhav hota jaye wese wese aap isme jyada paisa laga sakte hai. But starting me jya paisa invest na kare.
  4.  Share market par kaam karne ke liye aapke pass pc hona chahiye  jisme aapko har time shareo ki prices par nazar rakhni padegi or kisi company ke share ki keemat kam hone or use kharidne hoga or use mahnga hone par bechna hoga.
  5.  Kai baar log jyada benefits ke chakker me shares karid kar  unhe bechte nahi hai or high rate ka intzar karte hai. Aisa karne se aapko nukshaan ho sakta hai.or aapko paisa share market me fans sakta hai. ya fir aapko bahut jyada ghata ho sakta hai.
  6. Share market se achhi income tabhi ki ja sakti hai jab aap har waqt online raho or har waqt is par nazar rakho.
To dosto aap ye tips follow karke share market se paisa kama sakte ho.
To dear dosto ye thi share market kya hai aur isse paisa kaise kamaye puri jankari ummid hai ki aapko pasand aayegi or aapko isme kuch new sikhne ko milega. Agar aapke pas iske bare me koi or achhi or important information hai to aap comment me uske bare me bta sakte hai.

Is artical ko social media par share jarur kare taki dusre logo ko bhi iski jankari ho sake.


Laptop Ki Bettry Life Kaise Badhaye ? Top 6 Tips Hindi Me

7/01/2017 10:23:00 am 0 Comments



Hello friends is post through ma apko batane wala hu ki aap apne" Leptop ko Bettry life kaise badhye". kyoki jab hum apne laptop par jaruri works karte hai to laptop ki bettry low ho jati hai.
Isliye mai apko is article ke through yah batane wala hu ki laptop ki bettry life kaise  badhate hai. Mai apko is article me kuch aisi tips batane wala hu jiko agr follow karte ho to aap apne laptop ki bettry life increase kar sakte hai. Toh chaliye start karte hai.


Laptop Ki Bettry Life Badhane Ki Top 5 Tips

1. Low Brightness

Laptop ki bettry ko low hone ka karun display brightness hota hai. Agar aap apne laptop me hamesha full brightness rakh te hai to jahir si baat hai ki apke laptop ki bettry dhire- dhire down hoti chali jayegi aur apko last me pata chale ga ki aap ki bettry kharab ho gayi hai. Isliye agar apne laptop ki bettry life badhana chahte hai to aap apne laptop ka brightness utna rakhe jitne aap unme dhek shake.

2. Off Bluetooth

Hamare Laptop me  hamare android phone ke jaisa bluetooth device bane hote hai. Jisse ham koi bhi songs, video etc. send kar sakte hai. To jab bluetoothka use nhi kiya ja raha hai to aap bluetooth ko off kar de.

3. Stop Application

Agar aap laptop par koi kam kar rahe to aap us time un app ko stop kare jiska use aap nhi kar rahe hai. Aur agar apne aisa nhi kiya to apke laptop ki bettry bahut jaldi low ho sakti hai. Islye apps ko stop kar de.

4. Off Internet

Bahut sare log apne laptop ko internet se hamesha connect rakhte hai. To hamesha internet ka use karne se hamare laptop ki bettry ki life low ho sakti hai. Isliye aap jab internet ka use kare to hi On kare aur bina use ke internet connection Off kar de.

5. Overcharge Bettry

Had se jaida bettry ko charge karne se bettry karab ho sakti hai. Kuch log apne laptop ko hamesha charging me laga ke rakh te hai. isse bettry ki life low ho sakti hai. Laptop ko charge hone ke baad charging se nikal de. isse apki bettry ki life increase ho sakti hai.

6. Use Task Manager

Aap laptop me task manager se pata laga sakte hai ki apke laptop me wo kaun sa app hai jo jayada se jayada bettry load leta hai. Aur aise app ko turant Off ka de. Agar aap task manager ko open karna chahte hai to aap apne keyword se CTRL+SHIFT+Esc button ko press kare aap task manager open ho jayega.


To friends ye kuch tips hai jise agar aap follow kare to aap apne laptop ki bettry life ko badhana chahte hai. tTo apko is article ko follow karna bahut jaruri hai. 
Agar aap ko is article me jara se bhi help mili ho to hume comment karke jarur bataye taki hum our is post ko share jarur kare.