What Is Server? And it's types in hindi
Server
kya hai ? server ke bare me aap sabhi ne kahi na kahi jarur suna hoga. Agar nahi suna to aaj hum is
article ke through aapko batane wale hai ki server kya hai. Aur iske kitne
types hai aur server kaam kaise karta hai. Aapko puri jankari hindi me batane
wale hai. Isse pahle aapko ek important baat batane wale hai ki aap yah article
pura read kare agar aap isko pura nahi padhege to aapko kuch bhi samgh me nahi
ayega aur aap server se bare me nahi jaan payege. Isliye aap is article ko bade
dhayan se padhe.
What
is Server
Server ek
computer ho sakta hai ya ek hardware device ya phir computer program jise
computer me load kiya jata hai. Taki who dusre computers ko data aur
information bhej sake. Server ka kaam hai ki users ko sewa dena yani ki users
ko who sabhi jankari dena jo who janna
chahta hai. For example jaise hum youtube me video dhekte hai ya phir koi
information hum apne device ke web browser me jakar search karte hai. To hame
jo bhi result apne device par dkekh ne ko milta hai. Woh website ya channel ka
data kahi na kahi par store ho kar rahta hai. Jo server hamare request bhejne
par hume us information ko provide karata hai.
Google
world ka sabse bada search engine hai. Jaha se aap jitney chahe utne information(data)
hasil kar sakte hai.to google hume ye sabhi information (data) alag alag
websites ke server se lakar provides karata hai.
Server ek
computer ki tarah hota hai aur duniya me bahut saare alag alag types ke server hai jo ki bahut powerfull hai. Ek
normal laptop ya computer me agar hum server ka program install kar de to woh
computer bhi ek server ki tarah work karega. Aise server ko hum non- dedicated
servers bhi kah sakte hai. Kyoki ye 24 hours chalu rahkar kaam karne ke liye
nahi hote. Non- dedicated servers ka use home, school, colleges, hospitals,
offices, etc jagaho par kiya jata hai. Jise hum local network bhi kahte hai.
Lekin kuch
computer aise bhi hote hai jo 24*7 chalu rahte hai aur dusre computers ko serve karte
hai. Eise computers ko hum dedicated server bhi kahte hai. Ye computers bhahut
hi mahge hote hai.aur inme high quality aur high speed ka processor aur RAM
lage hote hai. Aur Internet ke through hum google par jo bhi
search karte hai woh hume dedicated servers se hi milte hai.
Server
Kaise Kaam Karta Hai.
For example
hum aapko batate hai ki maan ligiye ki aapko youtube par ek video dhekna hai to
aap apne youtube ke search me us video ka name likha aur search kiya to ye ek
request ke rup me convert ho jata hai.
Aur ye request internet ke through youtube ke server me chala jata hai. Aur
server aapke through request kiye gaye video ko dhud kar uska data aapke device
par bhej deta hai. Jiske karan aap us video ko dhek pate hai. Internet par hum
jitney bhi work karte hai jaise koi file download karte hai. Browsing karte
hai. Mail bhejte hai . Social media sites ka use karte hai. Iske alawa jitney
bhi kaam karte hai. Un sabhi chijo me server hamari helps karta hai aur hum tak
data pahuchata hai. So aap logo ko samgh me a gaya hoga ko server kya hai aur
yah kaise kaam karta hai. Ab baat karte hai ki server ke kitne types hai.
Types of
Server
Server
alag-alag type ke hote hai. Aur lag-alag service pradan karte hai.
· Web
Servers: web server
me internet par maujud har ek websites
hai. Unke data store ho kar rahte hai. Aur ye server web browser se connect
rahte hai. To jab koi bhi user web
browser se kisi website ko dhekne ke liye request karta hai tab ye browser web
server se connect kar website ka data user ke device par bhej dete hai.
· Email
Server: Email
server message bhej ne aur receive karne me help karta hai. Aur user ki saari
information ko server par store karke rakhta hai. For example: jaise aapne apne
kisi friends ko mail likh ne ke baad aap send button par click karte hai uske
baad woh message ko mail server SMTP protocol ka use kar aapke dost ke account me bhej dete hai.
· File
Server: File
server network ke through file transfer
karne me help karta hai. File server ek computer me sabhi file ko store aur manage karta
hai. Aur users ke request karne par uske
computer me file ki copy ko bhej deta hai. File server ka use local network par
hota hai.
Aur dear
har organisations, institutions, company,banks, social networking sites jaise
facebook, WhatsApp etc. ka sabhika apna apna server hota hai. Jaha par in sabhi
ke users ka information(data) store hota rahta hai.
Aapko
server kya hai aur kaise kaam karta hai. Samgh me a gaya hoga. Agar aapko is
article se related koi sawal hai. To hai to aap hume comment ke through jarur bataye. Hume kushi
hogi.