Share Market Se Paisa Kaise Kamaye? Puri Jankari Hindi Me

Share market kya hai aur iske through paise kaise kamaye ? Har koi chahta hai ki apna paisa sahi jagah invest ho. Isliye har koi chahta hai ki lakho rupay kamane ke liye paisa kaha invest kare. agar aap bhi apna paisa invest karne ke liye koi platform ki talash kar rahe hai to aapko share market ke baare me jarur jan lena chahiye. kyo ki share market se aap lakho rupay kama sakte hai. Lekin iske liye aapko share market ki puri jankari honi chahiye. iske baare me aapko jitni knowlage hogi aap utna jayada paisa share market se earn kar  sakte hai. To chaliye jante hai ki share market kya hai aur isse  paisa kaise kamaye.




What is Share Market !

Sabse pahle hum aapko bataye ge ki share  kya hai. Kyo ki share market ke baare me janne se pahle aap ko pata hona chahiye ki Share kya hota hai. Share woh Part ya hissa hai jo company ke owners ya maaliko ke through jari kiye gaye documents hote hai. Aap jis company ke jitne share karidoge aap utne precent us company ke malik ban jaoge. Share ko share market(share bajar) se karida ja sakte hai.

What is share market? School ki book ki definition ke according  bataye to ek aisa market jaha se share ko karida aur bhecha jata hai us market ko share market ya share bazaar kaha jata hai. Ise stock  exchange ka key factor bhi kaha jata hai. For example apne kisi company ke 30% share buy kar liye yo aap 30% uske malik ban gaye. or company me hone wale faislo me aap 30% voting kar sakte ho.
Share buy karne ke liye aapko Demate Trading account A/C open karwana hoga jisko aap kisi bhi bank, company ya dalal (Broker) ke pass khulva sakte hai. Wese aaj kal sab kaam internet ke through ho rahe hai. isliye aap online bhi account khulva sakte hai.

Share Bazar Ka Work Kab Hota Hai:

Share bazar ka kaam week me 5 days (Saturday to Friday) tak hota hai. Aur india stock market ka kaam subah 09:15 AM to 13:30 PM Tak hota hai. Indai me only two stock exchange hai.

Indai Me Two Stock Exchange Kyon Se Hai?
  • NSE- National Stock Exchange
  • BSE- Bombay Stock Exchange
Aur share buy karne ke ye tarike  sabse aasan hai. Aur in 3 tariko se aap share purchase kar sakte hai..
  1.  Self buy kar sakte ho.
  2.  Apne Broken ke through kharid sakte ho.
  3. Indian Public Offering(IPO) ke through purchase kar sakte ho.
In tariko se aap share bazar se share karid sakte hai. Ab baat karte hai share karid ne ki kyoki jab tak hum sahre nahi karide ge jab tak hum paisa nahi kama sakte hai.

Share Market Se Paise Kaise Kamaye
Online ya broker ke through share market se share kharide. share kharidne ka tarika: Share market me paisa invest karne se pahle ye zaruri baat jaan le. isme aapki coomerce acchi honi chahiye.
Ye decide karna koi muskil kaam nahi hai ki share market me paise invest karne ka sahi time kya hai kyoki ye sab aapki samagh ke upar depend karta hai. Share buy karne se pahle aapko iski full knowlage honi chahiye. Without information ke aap kamane ki jagah nukshan kar loge.
Share market ek aisa bazar hai. jaha shares me hamesha utar chadaw laga rahta hai. to aap jab bhi share buy kare . Jab share ki keemat kam ho or share tab tak bache jab share ki keemat jyada ho. Iske liye aapko share ki Low and High rate ke bare me jankari honi chahiye. 

Note: सस्ते शेयर खरीदना और महंगा होने पर बेच देना. यही शेयर मार्किट का मैं सूत्र है.

Ye bahut choti se baat hai. But isko samjhne ke liye bahut time chahiye hota hai. Agar aap sahi time par decision nahi lete hai. to ye aapko bhari pad sakta hai or jaha aap share bazar se lakho kamane ki soch rahe honge waha aapko lakho rupees ka ghata bhi lag sakta hai.

Share Market Se Kitna Paisa Kama Sakte Hai
Share marketting se aap lahko rupees kama bhi sakte ho aur gawa bhi sakte ho. Jaise aapko kissi company ke 10,000 share buy kar liye or uska price 10 rupees tha to aapko total 1,00,000 pay karne honge. Ab agar uski keemat 1 rupees per share badh jati hai to aapko 10,000 ka fayda hoga or agar par 1 rupees minus ho jati hai to aapko 10,000 ka nuksan hoga.

Note:सुबह खरीदे गए शेयर को शाम तक बेचना होता है या फिर उसका पेमेंट करना होता है. ये शेयर बाजार का रूल है.

Share Market Se Paise Kamane Ke Liye Kin Kin Bato Ka Dhayan Rakhe:

Ab aapko ache se pata chal gaya hoga ki share market kya hai aur isse paisa kaise kama sakte hai. So ab mai aapko kuch aisi bate bta du jinko share marketting ke waqt dhyan rakhna chahiye. Is kaam me income bhi bahut hai to risk bhi bahut hai. Paisa soch samjh kar invest kare. So niche aapko tips diye ja rahe hai jinko follow karke aap share market se paisa kama sakte hai.

  1.  Agar aap  Chahte hai ki  aapko stock marketting se nuksan na ho or aap jayada se jayada kamai kar sako to pahle aap companies ke results and balance sheets padha or samghna shuru kare. Market ke bare me puri jankari rakhe or daily economic times etc. share market se related news padhe or tv news bhi dekhe.
  2. Jab aapko share market ki puri jankari ho jaye  or aapko lage ki aap real me isme achhi kamai kar sakte hai. tabhi ye kaam start kare.
  3. First time me sirf 3-4 company select kare or kam se kam invest kare fir jaise jaise aapko iska anubhav hota jaye wese wese aap isme jyada paisa laga sakte hai. But starting me jya paisa invest na kare.
  4.  Share market par kaam karne ke liye aapke pass pc hona chahiye  jisme aapko har time shareo ki prices par nazar rakhni padegi or kisi company ke share ki keemat kam hone or use kharidne hoga or use mahnga hone par bechna hoga.
  5.  Kai baar log jyada benefits ke chakker me shares karid kar  unhe bechte nahi hai or high rate ka intzar karte hai. Aisa karne se aapko nukshaan ho sakta hai.or aapko paisa share market me fans sakta hai. ya fir aapko bahut jyada ghata ho sakta hai.
  6. Share market se achhi income tabhi ki ja sakti hai jab aap har waqt online raho or har waqt is par nazar rakho.
To dosto aap ye tips follow karke share market se paisa kama sakte ho.
To dear dosto ye thi share market kya hai aur isse paisa kaise kamaye puri jankari ummid hai ki aapko pasand aayegi or aapko isme kuch new sikhne ko milega. Agar aapke pas iske bare me koi or achhi or important information hai to aap comment me uske bare me bta sakte hai.

Is artical ko social media par share jarur kare taki dusre logo ko bhi iski jankari ho sake.


Friends, if you like the information given on this site, then share this site on social media . Google